Wednesday 30 January 2013

Poem By Nasir Kazmi

Teri Zulfon Ke Bikharnay Ka Sabab Hai Koi
Aankh Kehti Hai Tere Dil Mein Talab Hai Koi

Aanch Aati Hai Tere Jism Ki Uryaani Se
Pairhan Hai Ke Sulagti Howi Shab Hai Koi

Hosh Uraanay Lageen Phir Chaand Ki Thandi Kirnain
Teri Basti Mein Hun Ya Khwaab-e-Tarb Hai Koi

Geet Banti Hai Tere Sheher Ki Bharpoor Hawa
Ajnabi Mein Hee Nahi TU Bhee Ajab Hai Koi

Lye Jaati Hain Kisi Dehaan Ki Lehrain “Nasir”
Door Tak Silsila Taak-e-Tarb Hai Koi

No comments:

Post a Comment